Hazrat Mujaddid Alf Sani
Rahmatullah Alayh
Hazrat Sheikh Abdul Ahad Rahmatullah Alayh jo apne zamane ke bohat barray kaamil walii thay unhon ne raat ko khawab dekha tamam Jahan mein zulmat phail gayi hai. Soor, bandar aur reechh logon ko halaak kar rahay hain. Isi Isna mein mere seenay se aik noor nikla aur is mein aik takhat zahir howa. Is takhat par 1 shakhs takiya lagaye betha hai aur is ke samnay tamam zaalmon,randeekon aur mulhadon ko bakray ki terhan zibah kar rahay hain aur koi shakhs buland aawaz mein keh raha hai
وَقُلْ جَاۗءَ الْحَقُّ وَزَهَقَ الْبَاطِلُ ۭ اِنَّ الْبَاطِلَ كَانَ زَهُوْقًا
”aur farma dijiye haq aa gaya aur baatil mit gaya, bay shak baatil mitne wala hai “ .
Is ke baad aap ki aankh khil gayi aur phir aap Hazrat Sheikh Shah Kamaal Kaithaly Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir hue aur apna khawab bayan kya aur aap se tabeer poochi. Aap ne farmaya tumahray haan aik larka peda hoga jis se al-haad o bidat ki tareqi daur hogi. Aur waqt ne saabit kya kay yeh tabeer harf bah harf durust saabit hui aur sirf aap ke lakht e jigar noor e nazar Hazrat Makhdom Sheikh Ahmed Sirhindi Mujaddad Alif Thani Rahmatullah Alayh ne al-haad o bidat aur shirk o kufar ko khatam kya. Aap ki wiladat basaadt shehar Sirhind ki pak sarzamen par shab jummay al mubarak shawaal 971Hijri bamutabiq 1564 eswi ko hui. Aap ka silsila nasb 32 pusht par jaa kar Syedna Hazrat Umar Farooq Razi Allah Tala Anhu se mil jata hai. Is ka izhaar aap ne apne maktoob Shareef mein farmaya hai. Aap ka naam mubarak ”Ahmed“ rakha gaya. Aap dasvian (10) sadhi ke wahid buzurag hain kay jin ke isharay ahadees mein bhi mlitay hain .
Hazrat Mujaddad Alif Thani Rahmatullah Alayh bachpan mein nihayat surkh o safaid thay. Aik martaba bemaar ho gaye aur bemari is qader barhi kay aap ne maan ka doodh peenaa chhorr diya aur lambay lambay saans lainay lagey. Sab ghar walay aap ki zindagi se mayoos ho kar maghmoom aur pareshan ho gaye. Lekin Khuda wand Quddoos ne to aap se aik azeem kaam lena tha. Abhi to is Sooraj ko nisf alnahar par chamakna tha. Is liye Hazrat Khwaja Shah Kamaal Kaithaly Rahmatullah Alayh aap ke ghar tashreef laaye, ghar walon ne aap ki aamad ko rehmat Khuda wandi ka baais jana aur Hazrat ko utha kar isi haalat mein aap ki goad mein daal diya. Hazrat Shah sahib ne apni zabaan faiz e tarjuman bachay ke munh mein day di. Aap ne isay achi terhan choosna shuru kar diya. Is ke baad Hazrat Shah Kamaal Kaithaly Rahmatullah Alayh ne farmaya kay mutmin raho, is bachay ki umar bari hogi, Allah Taala is se bohat kaam lena chahta hai. Mein aaj is ko apna beta banata hoon. Yeh meri terhan hi hoga. “ isi Isna mein aap ko mukammal sehat yabi haasil hogayi .
Aksar sawanah nigaron ne likha hai kay Hazrat Mujaddad Rahmatullah Alayh ne awail umar hi mein Quran Pak hifz kar liya tha. Lekin aap ke aik maktoob se andaza hota hai kay yeh doulat Qilah Guwalyar mein nazir bandi ke zamane mein haasil hui. Is ke baad apne waalid Majid Sheikh al - Islam Hazrat Sheikh Abdul Ahad ke maktab se aap ne is waqat ke murawaja aloom o fanoon ki tehseel shuru kar di aur mukhtalif aloom o fanoon ki kitaaben parheen. Mazeed tadrees ke liye aap Sialkot tashreef le gaye. Wahan aap ne Hazrat Allaamah Molana Kamal Kasmiri Rahmatullah Alayh se maqoolaat aur sanad le, Qaazi Behlole Badkhashi Rahmatullah Alayh se mukhtalif Tafaseer aur Ahadees Sharifa ka dars liya .
Tehseel ilm se farigh honay ke baad Hazrat Mujaddad Rahmatullah Alayh Aagre tashreef le gaye aur wahan dars o tadrees ka silsila shuru kya. Aap ke halqa dars mein fuzla e waqat shareek hotay thay. Yeh silsila kaafi arsa tak chala. Aap ke waalid Majid Makhdum Hazrat Sheikh Abdul Ahad Rahmatullah Alayh aap se bari mohabbat rakhtay thay, woh aap ke faraaq mein be chain ho gaye aur bawajood zeaf o kuber sani Sirhind Shareef se Aagre aa gaye aur Hazrat Mujaddad Rahmatullah Alayh ko apne sath hi Sirhind Shareef le gaye. Sirhind Shareef jatay hue rastay mein jab Thanseer puhanche to wahan ke Raees Sheikh Sultan ki larki se Hazrat Mujaddad Rahmatullah Alayh ka Aqab masnuna ho gaya .
Hazrat Mujaddad Rahmatullah Alayh ne zahiri aloom ke sath sath baatini aloom yani Maarfat e Elahia ke liye bhi sae farmai aur mutadid shaiokh se mukhtalif salasil e tareqat mein ijazat o khilafat haasil farmai. Silsila Chishtia aur Silsila Soharwerdia mein apne waalid Majid Hazrat Sheikh Abdul Ahad Rahmatullah Alayh se ijazat o khilafat haasil farmai. Silsila Qadria mein Hazrat Shah Sikandar Rahmatullah Alayh se ijazat o khilafat haasil farmai aur Silsila Naqshbandia mein Khwaja Khwajgan Hazrat Khwaja Baqi Billah Rahmatullah Alayh se ijazat o khilafat haasil farmai .
Aap ko Hajj e beeet Allah Shareef aur ziyarat Roza e Aqdes Rsool e Akram Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ka shoq muddat se tha. Lekin waalid Majid ki kubas sani ke baais is iraday ko multawi rakha. Lekin jab 27 Jamadi al Akhar 1007 Hijri bamutabiq 1598 eswi mein asi (80) saal ki Umar mubarak mein waalid e majid wasil bahaq hue to is ke dosray saal aap ne qasd e Hajj farmaya aur Sirhind Shareef se rawana hue. Jab Dehli puhanche to Molana Hassan Kasmiri ne jo aap ke doston mein se thay Hazrat Khwaja Baqi Billah Rahmatullah Alayh ki bohat tareef o tauseef farmai to aap ke dil mein Ishtiaq peda howa aur Hazrat Khwaja khwajgan Mohammad Baqi Billah Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir hue. Khwaja sahib ki tabiyat mubarak bari ghayoor thi. Woh khud kisi ko apni taraf mutwajjah nahi farmatay thay. Lekin yahan maamla bar aks tha. Kyunkay taalib khud matloob aur mureed khud murad tha. Yani Hazrat Khwaja sahib ne istikhara mein jis toti ko dekha tha aur is ki wajah se aap ne Hindostan ka safar farmaya tha, is waqt Hazrat Mujaddad sahib ki soorat mein aap ke samnay mojood tha. Isi liye Hazrat Khwaja Baqi Billah Rahmatullah Alayh ka qoul hai kay ”hum ne peeri mureedi nahi ki balkay hum to khail khailte rahay. Lekin Allah Taala ka bara karam o ahsaan hai kay hamaray khail aur dukandari mein ghata nahi raha, hum ko Sheikh Ahmed jaisa sahib istedad shakhs mil gya“. Yahi wajah hai kay khud murshid bar haq ne barh kar mureed o murad e sadiq se farmaya kay aap kuch arsa hamaray paas qiyam farmaen. Hazrat Mujaddad Rahmatullah Alayh ba khushi razamand ho gaye. Mujaddad sahib ki fitri istedad aur Qawi al Nisbat aur murshid ki khusoosi tawajah se woh rohani ahwaal o maqamat jo barson ke majahde se haasil hotay hain dinon mein haasil ho gaye. Rohani manazil mein aap ki is istedad ko dekh kar murshad e roshan zameer ko yaqeen ho gaya kay yahi woh Toti khusnawa hai kay jis ki khusnawai se Hindostan kya balkay poooray aalam e islam ke chamanistan mein taaza bahhar aaye gi .
Hazrat Khwaja Baqi Billah Rahmatullah Alayh ne tamam rohani nisbatain aur bashartein Hazrat Mujaddad sahib ko tafweez farma dye aur apne halqay se mutaliq talbeen ko hadaayat ki kay woh ab meri bajaye Mujaddad sahib ki taraf rujoo karen aur aap ko sajaadgi , irshad o tarbiyat ki ijazat aataa farmai. Dasvin sadi Hijri ke ekhtataam ka Hindostan bari taizi se aik hama pehlu deeni, tehzibi aur zehni irtdaad ki taraf barh raha tha aur is shaytani tehreek ki pusht par apne daur ki mazboot tareen saltanat aur fouji taaqat ke saath apne waqat ke mutadid zeheen afraad ki Ilmi aur zehni kumak bhi mojood thi. Un halaat mein agar koi zaheen, Rohani aur Ilmi maidan mein taaqatwar shakhsiyat rasta roknay ke liye khari nah hoti to islam ki haqeeqat khatam ho jati. Hindostan ke is waqt ke halaat ka andaza aap ke aik maktoob se hota hai jo aap ne aik mureed jo kay Darbaar e Akbar i se wabasta thay Hazrat Syed Fareed Bukhari Rahmatullah Alayh ke naam likha hai. Aap tehreer farmatay hain kay
Ehad e Akbar i mein nobat yahan tak pahonch gayi thi kay kufar ghalib thay aur elania daar al - islam mein kufar ke ehkamaat jari karte thay aur musalman apne deen par amal karne se aajiz thay. Woh agar aisa nah karte to qatal kar diye jatay. Anhazrat Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam agarchay rab alameen ke mehboob hain, magar ehad e Akbar i mein aap ki tasdeeq karne walay zaleel o khawar thay aur aap ke munkir sahib izzat o Iftikhar.Mmusalman zakhmi dilon ke sath islam ki zaboon haali par taaziyat aur is ki barbadi par maatam kar rahay thay. Aur islam ke dushman tanz o istehza se un ke zakhamo par namak chirak rahay thay .
Is khat se Akbar ki hukoomat ke daur mein islam ki zaboon haali ka naqsha ubhar kar samnay aa jata hai. Aur isi mauzo par aap ke mutadid maktobaat shareef hain. Yeh maktoob jahan Akbar ke daur ki akkaasi karta hai to wahein aik tareekhi dastaweez ki hesiyat bhi rakhta hai. Hindostan mein islami muashray ki baag dor hamesha teen tabqon ke haath rahi hai, woh agar hadaayat par rahay to muashray mein taameer o taraqqi aur neki o bhalai ko farogh haasil howa, woh bigre to poooray muashray mein fasaad phail gaya.Wo idaray yeh thay .
1. Daar al-aloom yani makatib o madaris .
2. Khanqahi yani Rohani o baatini aloom o muarif ke markaz .
3. Hukoomat kay jis ke haath mein mulik ki poori siyasi qowat thi .
Hazrat Mujaddad Alif Thani Rahmatullah Alayh ne un tenu idaron ya tabqon ki islaah farmai. Allah Taala ne Hindostan mein islami tashkees ko bachanay ka kaam Hazrat Sheikh Ahmed Farooqi Sirhindi ki jame kamalaat shakhsiyat se liya. Aap ke islahi kaam ka sab se ahem aur bunyadi nuqta Nabwi Muhammadi aur is ki abdiyat o zaroorat par ummat Musalmah mein aitqaad bahaal karna aur usay mazboot o mustahkam karna tha. Yahi aap ka sab se bara inqalabi karnaama hai jo is se qabal kisi Mujaddad ne nahi kya .
Allah Taala ki nusrat o taied aap ki shaamil haal thi. Aap nabwi Muhammadi Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam par imaan par tajdeed ki kunji se woh bhaari bharkam kufl khol dete jo Yonani aur Irani falsafay aur Misri o Hindustani ashrafiat ne ijaad kiye thay. Aap ne islaah o tajdeed ke liye jo tareeqa car waza kiye un mein sab se pehlay aap ne deeni aloom ki tarweej o ashaat aur taleem o tadrees ko liya, jis ki ibtida aap ne apne waalid e majid ke madrassa se ki. Deeni aloom ke talba o shaiqeen ki zehen saazi farmai aur is ke sath hi baatini islaah bhi .
Dosray number par aap ka tareeqa car yeh tha kay soofiaye karaam ke tareeqay par infiradi raabtey ko mazboot karna. Aap ne silsila Alia Naqshbandia mein logon ki baet karkay un se fisq o fajoor se taoba karai aur aindah taqwa ke mutabiq zindagi guzarnay ki talqeen farmai. Aap ki Rohani tawajah o tasarruf se hazaron afraad fisq o Fajoor se nikal kar taqwa ki shahrah par gamzan ho gaye. Aur bilkhushoos ulama e karaam mein aik inqilab peda ho gaya aur aap ne bandgaan Khuda ki taleem o tarbiyat ke liye apne tarbiyat yafta afraad ko Hindostan ke mukhtalif shehron mein bheja .
Tajdeed deen mein aap ke tareeqa car ka teesra pehlu aap ke maktobaat shareef hain jinhon ne mashal raah ka kaam diya. Jo Shariat o tareqat ke asaraar o ramooz ke jame hain. Un ke aik aik lafz se Iqamat e deen, tazeem Shariat , tarweej sunnat aur radd e bidaat ke liye aap ki tarap aur dil-sozi zahir hoti hai. Aap ki talemaat aur mujddanah tareeqa car ko jannay aur samajhney ke liye maktoobat shareef qabil aitmaad aur mustand zareya hain .
Sunah 1012 Hijri mein jab aap ne dawat o islaah ka kaam shuru kya is waqt mughal Badshah Akbar ka dour e hukoomat tha jis ki be deeni aur islam dushmani intahaa ko pohanchi hui thi. Is ke darbari ulama ne usay Deen e Elahi ke naam se islam se hatt kar mazhab ghurr diya tha kay jo sara sar gumraahi ki taraf le jata tha. Deen e Elahi ya Deen e Akbari ki bunyaad sara sar islam dushmani par thi, jis ke peirokaar Nabwi, Wahi, Hashar o Nashar , Jannat o Dozakh ka mazaaq uratay thay, Quran ka Khuda ki taraf se nazil hona mashkook grdante thay. Zindagi baad mout namumkin aur aqeedah tanasukh ko ain mumkin samjha jane laga. Kalma e toheed ko badal kar' Mohammad Rasool Allah ' (Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ) ki jagah' Akbar khalifa Allah ' tajweez kya gaya. Is deen ko qubool karne ke liye deen e islam se taoba zaroori thi. Sajda tazeemi ko jaiz qarar diya gaya. Islam ki zid mein sood, juaa aur sharaab noshi jaisay qabeeh afaal halal qarar paye aur khanzeer ko muqaddas samjha jane laga .
Gaaye ka gosht haraam qarar paaya. Mardon ko dafnane ke bajaye jla dya jata ya pani mein baha diya jata. Aur mamu zaad se nikah mamnoo thehra. Aik se ziyada biwiyan nikah mein rakhna qabil e taazeer jurm thehra. Aatish parasti aur Sooraj ki parastish jaiz qarar payi. Yani yeh deen sara sar islam aur ke khilaaf tha .
Hazrat Mujaddad Alif Thani Rahmatullah Alayh is baat se bakhoobi aagah thay kay darbaar e Akbari mein baaz ba asar hazraat deen ke khilaaf aur Akbar ki ghair islami policion se mutmaen nahi hain. Un mein baaz to Hazrat Khwaja Baqi Billah Rahmatullah Alayh ke halqa bagosh bhi thay. Aap ne unhi afraad ko nizam e hukoomat ki islaah ka zareya banaya. Akbar ke intqaal ke baad Jahangir ki takhat nasheeni ke waqat aap ne un afraad se kaam liya. Un afraad ne Jahangir ki taaj poshi se pehlay is se ehad liya kay hudood e saltanat mein sharaab aur nasha aawar cheeze tayyar aur farokht nah ki jayen. Kisi bhi jurm mein aadmi ke naak aur kaan nah katay jayen, koi sarkari ohdedar muawza ada kiye baghair reaya ke kisi makaan mein rahaish ikhtiyaar nah kare, har barray shehar mein shfakhane banaye jayen. Aur un ke ilawa bhi shqin theen, yani poora baara nakati formula tha. Hazrat Mujaddad ne hukoomat ke un deendar tabqa se rabita bahaal rakha aur mukhtalif mawaqay par khutoot arsaal farmatay rahay jo kay matobaat shareef mein mojood hain .
Jahangir ki tabiyat mein islam se adawat ke bajaye is se khush aqidgi ka rujhan tha. Is liye Hazrat Mujaddad Alif Thani Rahmatullah Alayh ke halqay se talluq rakhnay walay Muhib e islam umraa ke bar waqat naik aur mufeed mashwaray bari had tak kargar saabit hue aur hukoomat ka rukh islam dushmani se hatt gaya. Lekin aap poori muslim hukoomat ko islam ka khadim bana dena chahtay thay. Is ka mauqa aap ko 1028 Hijri mein mil gaya. Kyunkay is waqt aap shohrat ki bulandiyon par thay. Khawaas o awam ka rujoo aap ki taraf tha. Kuch aap ki shohrat aur kuch amra ki sargoshiyon ne Jahangir ko waham mein mubtala kar diya aur is ne aap ko darbaar shahi mein talab karne ka farmaan jari kar diya. Aap darbaar e shahi tashreef le gaye aur manuna tareeqa par salam alaikum kaha aur tashreef farma ho gaye. Jahangir ko bad andeshon ne behkaya kay unhon ne aadaab e shahi ada nahi kiye. Jahangir ne aap ko aadaab e shahi ke mutabiq sajda tazeemi ka hukum diya lekin aap ne be bang e dehal farmaya mein ne Khuda e Wahid ke siwa kisi ko sajda kya hai aur nah karoon ga
Jahangir ko aap ki yeh baat pasand nah aye aur aap ko Qilah Guwalyar ki jail mein bhaij diya. Aap ne wahan par hazaron ghair muslim qaidyoun ko faiz Muhammadi Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ka jaam pilaya jo aap ki tarbiyat aur nazar chemi a assar se musalman ho gaye. Aap ne aik saal tak aseeri ke ayyaam katay. Is douran Jahangir ko Nabi Pak Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ki ziyarat hui aur aap ne irshad farmaya Jahangir tum ne kitney barray shakhs ko qaid mein daal diya hai. Is khawab se baydaari ke baad us ne foran hi aap ki rihayi ke ehkamaat jari kar diye aur aap raha ho kar Badshah ke saath hi rahay aur Badshah aur is ke lashkaron ki islaah farmai. Jahangir ne aap ke dast haq parast par baet farmai aur shabab o kabaab se taoba ki aur is terhan aap ne shoaar islam ko badshah ke zareya zindah kar diya. Aap ne aloom ki tarweej o ashaat ke liye jo dars o tadrees ka silsila qaim farmaya tha woh ab tak Bar e Sagheer mein qaim o daaim hai aur mohabbat o ishq Rasool Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ki chingariyan roshan karne mein masroof hai. Aap ka yahi misali aur tareekh saaz karnaama aap ko Mujaddad Alif Thani bananay ka baais bana. Aur yeh laqab bargaah mein qubool howa. Sab se pehlay Hazrat Molana Abdul Hakim Sialkoti Rahmatullah Alayh ne aap ko is laqab se yaad kya aur phir muasar ulama e karaam ne bhi isi se aap ko yaad kya. Yahi nahi balkay matobaat shareef mein aap ne khud bhi apne liye Mujaddad Alif Thani ka laqab tehreer kya .
12 Muhram 1034 Hijri ko aap ne farmaya ”mjhe bataya gaya hai paintalis (45) din ke andar tumhe is duniya se doosri duniya ka safar karaya jaye ga aur mujhe qabar ki jagah bhi dikhayi gayi hai “. Aap shadeed bemaar thay. Isi shadeed bemari ki haalat mein uth kar wuzu kya, kharray ho kar Tehajad ki namaz parhi, phir farmaya yeh hamari Tehajad ki aakhri namaz hai. 28 Safar ko Chasht ke waqt astanja karne ke liye tasht mangwaya, is mein rait nah thi, chhinton ke khayaal se wapas kar diya aur farmaya mein apna wuzu torna nahi chahta, mujhe bistar par lata do . Aap ko lataa dya gai gaya. Aap masnoon tareeqay ke mutabiq apne dayen rukhsaar ke neechay dayan haath rakh kar apne Allah ke zikar mein mashgool ho gaye aur zikar ki isi haalat mein husan e haqeeqi ke is bakamaal aashiq ki rooh jasd e aqdes se parwaaz kar kay jalwa ahadiyat mein wasil hui. Baad az wisaal bhi aap ke chehra mubarak par noorani muskurahat rahi. Sirhind Shareef mein aap ka mazaar hai jo marja Khalaique hai .